Unknown Number Se Call Kaise Kare?

Doston kya aap bhi janna chahte hain Unknown Number Se Call Kaise Kare? Agar aap ka jawab ha hai to aap bilkul sahi post padh rahe hain, kyunki aaj is post mein hum aapko ek aisi trick ke bare mein batane ja rahe hain jiski help se aap kisi ko bhi unknown number se call kar sakte hain.

Dosto bahut bar hum chahte hain ki hum samne wale Ko call kare aur uske pass humara real number na jaaye, aise situation main aap usko unknown number se call kar sakte hain aur usko pata bhi nahin chalega, unknown number se call karne par aapka real number uske pass nahi jayega.

Doston kisi ko bhi unknown number se call karne ke liye aapko apne phone mein main ek application Ko download karna hoga jis application ka naam Indy Call - calls to India hai. Is application ko aap niche diye gaye download button per click karke ya apne phone ke google play store se bahut hi aasani se download kar sakte hain.

Abb hum baat karte hai is application ka upyog karke kisi ko bhi unknown number se kaise call kar sakte hai.

Doston sabse pahle aapko is application ko apne phone mein install karna hoga aur uske baad ise open karna hoga, application ko open karne ke baad aapko apne kisi email id se sign up karna hoga aur is application ki sabhi permission ko allow karna hoga.


Doston jaise hi aap is application ki sabhi permission ko allow kar denge yeh application upyog karne ke liye taiyar ho jayegi, is application ke homepage per aapko ek phone dialer dikhayi dega jaisa aapke phone mein dikhayi deta hai.

Ab is phone dialler per aapko uska number type karna hai jise aap unknown number se call lagana chahte Hain, number dial karne ke bad aap usko bahut hi aasani se call kar sakte hain. Es application se call karne par samne wale Ko aapka real number dikhayi nahi dega balki uske pass ek unknown number se call jayega.

So kuchh Isi prakar se aap kisi ko bhi unknown number se call kar sakte hain, doston is application par call karne ke liye aapko kuchh limited minutes diye jaate hain, agar aap in limited minutes ka upyog kar lete hain to aapko agli bar call karne ke liye yahan par recharge karna padega, agar aap yahan par recharge nahi karna chahte hai to is application ki ads Ko dekhkar aapko minutes earn karna hoga aur usse aap kisi ko bhi unknown number se call kar sakte hai.

Doston ummid karta hoon aapko is article ki madad se ye pta chal gaya hoga ki Unknown Number Se Call Kaise Kare? Agar aapko yeh artical achcha laga to ise apne dosto ke sath social media par share jarur kare.

Previous Post Next Post